Aati hain shab o roz balaoon pe balayen
jo dil pe guzarti hai wo kis kis ko sunayen
Khawabo mein to aajate hain har raat humare
Hasrat hai ki ik baar heqeeqat mein wo aayen
Jab qatal hi thahra hai tere ishq ka maiyar
Ab teri bala se jo kai jaan se jayen
Jab sina ho imaan se khali to azeezo
Kyun khali asar se na hoon waiiz ki sadayen
Aate ho to aao ki nahi waqt ziyada
Ya naza ki hickhi tumhe deti hai sadayen